Wednesday 9 November 2011

UMEED


Umeed ki kashish gejri hai itni
Asma se dharti ki duri hai jitni

Band aankho ke sapne, Sise ke hote hai.
Khulte hi palko ke, Jo tut jate hai
Khuli aankhon se jo sapne sajate hai
Band aankhon ke wo ruh ban jate hai

Jindagi ke khwab
jane kab honge pure
Sapne kuch tute mere
Kuch reh gaye adhure

Samandar si aankhon me
aasuon ka sailab aaya hai
Tute hue sapno ki kashti ko
jisne bahaya hai

Aankho ne sapne bunna abhi choda nahi hai
Khud se kiya hai jo wada wo toda nahi hai

Monday 31 October 2011

A DEDICATION TO OUR INDIAN ARMY


Is jamane ki fitrat hai itni si
Ke mar kar wo log amar ho jate hai
Apno ke liye nahi gairon ke liye jo mar jate hai
Yaad me unki log smarak banwate hai
Chand dino baad fir sab bhool jate hai

Kuch lamhe jindagi ki unke sath jisne gujari hai
Unse pucho jisne unpe apni duniya vari hai
Aankho me jinki bus yaadein hi pyari hai
Is kadar lute hai wo jaise jindagi unpe bhari hai

Pucho us maa se jisne
khoya apna beta hai
Pucho us pita se jisne aansuo ke samandar ko
apni aankho me lapeta hai

puch us aurat se jisne band bakse me
apne sapno ko lapeta hai
aur pucho us ladke se jo garv se hai kehta
wo ek saheed ka beta hai

hai meri bas itni dua us khuda se
us jane wale ko har koi dua de
uske apno ki aankho me na aasu aaye
unki jindagi me har khusiya mila de.

Is jamane ki fitrat hai itni si...

Sunday 23 October 2011

JEENA ISI KA NAAM HAI


Raat maine siskiyon ke sath bitai hai
Jitni dur najar gai pai bus tanhai hai

Bhagwan se shikayat ki kyu jamin pe bheja mujhe
Umeed ki koi kiran nahi yaha sirf khamoshi chai hai
Ruth kar is jindagi se socha is me rakha kya hai
Aur sayad isliye hi khudkhusi kar kaiyon ne apni jaan gawai hai

Soch kar hum bhi chal pade usi raste
Udaas man liye chod kar sab duniya ke waste

Raah par chalet hue dekha jo maine unhe
Bhuke pet, sukhe man, fate kapde pehne hue
Dekh kar wo dehal gaya mera man
Kaisi hai ye jindagi, bhagwan kaisa hai ye jivan

Yaad kar jindagi ke phir sare khusi ke lamhe
Aaj phir ye aankhe bhar aai hai

Tyag kar us raah ko
Phir se chal pade jindagi ki oor
Umange nai liye aur
Pakade aashaon ki nai door

Sach hai yaaron

Gam ne hi sabka hai saath diya
Khushi to chiz parai hai
Isliye hum ne bhi nai sapno ke sang
Jindagi ko fir se gale lagai hai.

Saturday 22 October 2011

KUCH BAKI HAI

Kuch raag abhi gana baaki hai
Kuch khwab abhi pana baaki hai

Kuch jasbaaton ka marna baaki hai
Kuch jakhmon ka bharna baaki hai
Kuch dard abhi sehna baaki hai
Kuch dua abhi karna baaki hai

Kuch longo se milna baaki hai
Kuch foolon ka khilna baaki hai
Kuch bhawaron ka tarasna baaki hai
Kuch bundon ka barasna baaki hai

Kuch rishton ko nibhana baaki hai
Kuch yaadon ko mitana baaki hai
Kuch aansuon ko peena baaki hai
Kuch khusiyon ko jeena baaki hai

Kuch raag abhi gana baaki hai
Kuch khwab abhi pana baaki hai

Tuesday 18 October 2011

MERI HASTI


Mai kya hu kuch bhi to nahi
Jo kuch hai meri hasti hai
Mai nahi ruk pati sang kisi ke
Par meri hasti hi sabi yaadon me basti hai

Meri hasti ke hai rang roop kai
Iske apne hai chaw-dhoop kai
Kabhi meri khusiyan banti iski masti hai
Kabhi mere gum lagti isko sasti hai

Kabhi aaine ki oot me
Chup chup kar ye mujh par hasti hai
Jindagi ke majdhaar me
Kabhi ye ban jati meri kashti hai

Kehti hai ye mujhse

Mai hawa ka koi jhoka nahi
Nahi bearish ki boond hu
Na hun mai manjil kisi ke khwab ki
Bas tere hi sapno ki umeed hu

Mai kya hu kuch bhi to nahi
Tere hi wajood ki mai parchai hu
Teri jindagi hai to mai bhi hu
Warna is duniya se to mai parai hu

Tuesday 11 October 2011

PARI HU MAI

Jasbaato ki gathri si bandhi
Har riste ki aaghaz  hu mai
Kuch aur nahi bas ek lafj hai yaaro
Is duniya ka anjaam hu mai

Asma me jab dekho to
Badalo ka pani hu mai
Kisi se anjani nahi
Bas sab ki yaadon se begani  hu mai

Parvaton ki uchai se
Samandar ki gehrai hu mai
Har kisi ke soch se pare
sabke umeedon me samai hu mai

Indradhnush ki parchai si
Rongo se bhari hu mai
Duniya ke liye bas hu ek ladki
Par apne maa baba ki pari hu mai

Tuesday 4 October 2011

PREET PREETY KI


Mere bol hi mere geet hai
Mere naam ka matlab hi preet hai.

Khwab ban kar aankho me jab aati
Raag ban kar gungunati,
Khilte kusum ki bhati
Sab k honto se muskurati
Sapne bane jaise ki meet hai
Mere naam ka matlab hi preet hai.

Udati hawa ki hun mai aanchal
Barasti bundon ki hun mai baadal
Khusiyon ki rooh hu mai,
Oos k bundo si komal,
Sab k man pe chai ban k jaise seet hai
Mere naam ka matlab hi preet hai.

Saturday 1 October 2011

LET ME LIVE


All the time, I think of it,
The role of a Girl in this Earth is not “just a bit”.
I want to break the entire wall,
I want to give love and loved by all.
Now I don’t want any Girl to bear,
Just want to make everyone aware.
Common Girls.......... our freedom is not so far,
It is just the starting of “GIRLS RIGHT WAR”.

I have no rope in my hand,
ting-tong please open your door.
This is just a beginning,
I want to shine more.

There is lot of things inside me,
I want all to explore.
By holding the hope of waves,
I want to live like a sea-shore.

I want more love, to open up and share.
I want more life, to take ur care.
I want more chance, to show my dare.
I want more respect, to live happy here.
Let me live my life, it’s my prayer

Tuesday 27 September 2011

BITIYA YA BETA


Aksar baba kehte hai ye mujhse
Bitiya nahi mera beta hai tu
Aur soch ke ankhe bhar jati meri
Baba aisa kehte hai kyu?

Isi soch me baithi thi ek din
Baba kyu mujhko kehte hai beta
Sidha sa sawal tha jise khud hi
Uljhano ki taron me tha maine lapeta

Baba duniya bhar se ye kehte firte
Apni bitiya par mujhko naaj hai
Mujhko bas itna samjhate
Tu mere ghar ki laaj hai

Baba ki aankhe puri nam hai
Jane kyu sakuchai si aawaz hai
Kisi ne unse jab ye kaha
Akhir bête hi hote ghar ka taaj hai

Ankh khuli to dhyan hua
Is sapne me chupa jo raaj tha
Meri samajh me aaya tab wo
Jo mere sawalon ka jawab tha

Sar par mere jab
Baba ke hanto ka sartaaj tha
Aankhe meri tab bhi nam thi
Nai ulason ka hua jo naya aaghaj tha

Tuesday 20 September 2011

PAISA – KAMAL KA


Is paise ko banane wala insan ab khud
Bana is paise ka gulam hai
Jiske paas hai ye paisa
Aaj bas usi ka naam hai

Yu to is duniya me jindagi ke,
Kai sare afsane hai
Kisi ke sar par chat nahi,
Kaiyon ke kai thikane hai…….
Kuch aur nahi hai dost mere,
Ye to paise ke tarrane hai

Aaj is kalyug ki duniya me
Kho gaya jaise apno ka saya hai
Jiski kokh se janam liya,
Bache kehte usi ko paraya hai
Ab to sare bandhan ka kuch mol nahi,
Jaise reh gaya bas paise ka moh maya hai

Duniya ko banae wale ne,
Banaya sirf insano ko
Jane kyon in insano ne,
Janm diya shabd “begane” ko…….
Har riston ka mol laga kar
Sab chahe ab bus paisa ginwane ko…

Sachai ko jhut bana ke
Jhuto ko pehnate ab taj hai
Insano ke nakab me ji raha ab
Saitaano ka raaj hai
Insaniyat gum ho gai kahin par
Aur ye paisa bana iska sartaaj hai

Dekh dasha teri duniya ka bhagwan
Hua kya iska haal hai
Bam golon ki barishon ne hai falaya
Dehsaton ka mayajaal hai
Kuch aur nahi hai dost mere,
Ye sab is paise ka bas kamal hai.

Is paise ko banana wala insan ab khud
Bana is paise ka gulam hai
Jiske paas hai ye paisa
Aaj bas usi ka naam hai

Wednesday 14 September 2011

NAR NAHI, NAARI HUN MAI

Phoolon bhari kyari hun mai.
Nar nahi, nari hu mai....
Aakash ke indradhnush ka,
Hai samaya mujhme saat rang,
Har ek kali me hai bhara,
Pyar ka ek naya tarang.
Jeene ki sachi adhikari hun mai,
Nar nahi, naari hun mai…………..

Maa hun mai, janti hu jeevan,
Har bache k rooh ka hu darpan,
Sichati hu khoon se apne,
Har shisu ka man aur tan.
Karuna hu, mamtadhari hu mai,
Nar nahi, naari hu mai…………….

Mana k choti si hun gudiya,
Par khushi ki hun mai pudiya,
Aandhere ki mai hun wo jyoti,
Jaise seep mai banti hai moti.
Pyar ka ehsaas, tumhari hun mai,
Nar nahi, naari hun mai…………….
Natkhat hun, tumko hun satati…
Roti to tumko bhi rulati,
Ched kar tumko khud hat jaati,
Phir amma se daat padati.
Bhaiya! Par teri rajdulari hun mai,
Nar nahi, naari hun mai……………….

Chod kar apno ka aangan,
Tyag kar apna ye jeevan,
Sab karti hun tujhko samarpan
Nibhati hun tera har bandhan.
Khilona nahi, ardhangini tumhari hun mai,
Nar nahi, naari hun mai………….

Waqt de kar socho ye ek din,
Kya jee sakoge jeevan mere bin?
Vidya hun mai, laxmi hun mai
Mata hun mai, janm-bhumi hun mai,
Aakash hun, patal hun mai,
Mahamaya, mahakaal hun mai,
Durga hun, sinh-sawari hun mai…….
Nar nahi, naari hun mai……………