Saturday 12 May 2012

ZIDDI SAPNE


Manjil ko pane ki chah me
Raste pe ban ke andhe chalet rahe
Jindagi jine ki ek aas me
Har pal khud bhitar me marte rahe

Rango bhari, Khushiyon bhari
Sapno kit thi jo duniya meri
Aouron ki chahat ki tapis me
Pal pal wo jalte rahe

Ek jid si hai iski fir bhi
Khud hi puri hone ki
Sabko sabit karna hai jo ise
Kaise khud ye – apna dam bharte rahe

Hairan hun mai khud apne hi khwab se
Khud ko jaise isne sambhala hai
Har jakhm pe hai namak padi
Fir bhi jinda ye – sab sehke rahe

Aab bhi jane kaise ye tute khwab
Ban kar umeed aankho me dastak de rahe
Majboor is dil se hi hai hum
Aur duniya meri aankho ki nami ka maja le rahe