Sunday 28 August 2011

BAHANE JINDAGI KE

Sab khwab tut gaye
Sare sapne hue paraye hai
Ab to is dil ko hamne
Khali panno se sajaye hai

Roothi hui is jindagi ke
Na jane kitne bahane hai…….

Yadon ke nagar me
Bache kuch baat suhane hai
Umeed ki chadar par bhi
Dhundle kuch rang purane hai

Roothi hui is jindagi ke
Na jane kitne bahane hai…..

Rah par sang jo chal rahe
Log wo ab bhi anjane hai
Sou dard me duba hai man phir bhi
chehre par liye muskane hai

Roothi hui is jindagi ke
Na jane kitne bahane hai……..

Asha ki kirno ke phir bhi
Bache kuch geet  jo ab bhi gane hai
Ankh-micholi khelti is sukh dukh ke
Ab bhi kai tarane hai

Roothi hui is jindagi ke
Na jane kitne bahane hai……..

Saturday 27 August 2011

AJAB DUNIYA - OF GROOM PRICE


Ajab hai ye duniya,
Yaha pal me hi hamne logo ke iman ko bikte dekha hai
Rishtey Nate ki Kadar kise hai,
 Yaha to hamne dulhe ke roop me insaan KO bikte dekha hai
Doctor Hai to bis’ lakh,
Engineer hai to pandrah lakh ki boli lagti hai
Bade afsaron ke kehne kya,
Sarkari chaprasi ho to dus lakh ki goli lagti hai

Ajab hai ye duniya,
Yaha pal me hi hamne logo ke iman ko bikte dekha hai
Rishtey Nate ki Kadar kise hai,
 Yaha to hamne dulhe ke roop me insaan KO bikte dekha hai
Cash TV fridge Godrej Car,
Demand bahut se hote hai
Inke bina rishta nahi,
Na Jane aise rishtey kaise hote hai

Purwazon ki banai kuch galat ritiyon me
Na Jane aaj bhi kyon kuch log rehte hai,
Dahej KO apna haq samjhne wale,
Kya isiliye apni beti KO dhan parai, aur bahu KO laxmi kehte hai?

Sunday 7 August 2011

YE KAISA SAWAL


Kyon nari ka jeevan balidan ki mishal hai?
Kyon duniya ne rachi iske khilaf ye jall hai?
Ladke-ladki me farq hai ab bhi,
Kyon khada ab bhi ye sawal hai?

...Bete ne agar janam liya to machta khub dhamal hai
Bitiya k aane se phir kyon ho jati wo janjaal hai?
Kayam hai jis se ye duniya,
kyon phir ye jahan bana usi ka dalal hai?
Ladke-ladki me farq hai abh bhi,
Kyon khada ab bhi ye sawal hai?

Kehte beta ghar ka hai vansh badhata
Socha hai? Bina Bahu kaise kar pata?
Usi bahu ko hi dahej k liye hai jalate,
Phir bhi kyon nahi hota man me unke koi bhi malal hai?
Ladke-ladki me farq hai abh bhi,
Kyon khada ab bhi ye sawal hai?

Saturday 6 August 2011

JAI SHREE KRISHNA...........

Kanha Kanha........
Tum hi ho man ke chor....
Bansi baja ke, Sapno me aa ke,
Bansi baja ke,Sapno me aa ke,
needein churai tune mor.........
oh kanha.......
Tum hi ho man ke chor........

Mai murakh anjan thi sab se,
Naam jo aaya tera in lab pe,
Bani bawari baithi mai tab se.....
ho.......
Bani bawari baithi mai tab se,
Teri rah niharu chahu aor......

oh kanha.......
Tum hi ho man ke chor........

Jeet na janu mai, haar na janu,
Kya hota hai ghar dwar na janu,
Sanjh na janu, Sansar na janu.....
ho......
Sanjh na janu, Sansar na janu........
Na janu mai bhor.......

oh kanha.......
Tum hi ho man ke chor........


Kanha Kanha........
Tum hi ho man ke chor....




Friday 5 August 2011

LET ME BORN




I admit that I can’t be like your son,
Still I want to born.

I am a GIRL and proud of it,
Don’t kill me; trust me bit.

...My birth will be your lend on me,
I know from which I can’t ever go free.


Please lend me also a bit of your love and care,
I will never put you down; nor even dare.

I know you love me from inside your heart,
You r nothing but; like a coconut

Tough from outside and soft from inside with lots of social fear,
I am like water inside it; see – that’s why your eyes are full of tear.

You are my parents you are my god,
No one matters for me except you my lord!

Now it is your wish,
Weather to leave me!!!!!!
OR
Live with me!!!!!!!!!!!