Tuesday 27 September 2011

BITIYA YA BETA


Aksar baba kehte hai ye mujhse
Bitiya nahi mera beta hai tu
Aur soch ke ankhe bhar jati meri
Baba aisa kehte hai kyu?

Isi soch me baithi thi ek din
Baba kyu mujhko kehte hai beta
Sidha sa sawal tha jise khud hi
Uljhano ki taron me tha maine lapeta

Baba duniya bhar se ye kehte firte
Apni bitiya par mujhko naaj hai
Mujhko bas itna samjhate
Tu mere ghar ki laaj hai

Baba ki aankhe puri nam hai
Jane kyu sakuchai si aawaz hai
Kisi ne unse jab ye kaha
Akhir bête hi hote ghar ka taaj hai

Ankh khuli to dhyan hua
Is sapne me chupa jo raaj tha
Meri samajh me aaya tab wo
Jo mere sawalon ka jawab tha

Sar par mere jab
Baba ke hanto ka sartaaj tha
Aankhe meri tab bhi nam thi
Nai ulason ka hua jo naya aaghaj tha

Tuesday 20 September 2011

PAISA – KAMAL KA


Is paise ko banane wala insan ab khud
Bana is paise ka gulam hai
Jiske paas hai ye paisa
Aaj bas usi ka naam hai

Yu to is duniya me jindagi ke,
Kai sare afsane hai
Kisi ke sar par chat nahi,
Kaiyon ke kai thikane hai…….
Kuch aur nahi hai dost mere,
Ye to paise ke tarrane hai

Aaj is kalyug ki duniya me
Kho gaya jaise apno ka saya hai
Jiski kokh se janam liya,
Bache kehte usi ko paraya hai
Ab to sare bandhan ka kuch mol nahi,
Jaise reh gaya bas paise ka moh maya hai

Duniya ko banae wale ne,
Banaya sirf insano ko
Jane kyon in insano ne,
Janm diya shabd “begane” ko…….
Har riston ka mol laga kar
Sab chahe ab bus paisa ginwane ko…

Sachai ko jhut bana ke
Jhuto ko pehnate ab taj hai
Insano ke nakab me ji raha ab
Saitaano ka raaj hai
Insaniyat gum ho gai kahin par
Aur ye paisa bana iska sartaaj hai

Dekh dasha teri duniya ka bhagwan
Hua kya iska haal hai
Bam golon ki barishon ne hai falaya
Dehsaton ka mayajaal hai
Kuch aur nahi hai dost mere,
Ye sab is paise ka bas kamal hai.

Is paise ko banana wala insan ab khud
Bana is paise ka gulam hai
Jiske paas hai ye paisa
Aaj bas usi ka naam hai

Wednesday 14 September 2011

NAR NAHI, NAARI HUN MAI

Phoolon bhari kyari hun mai.
Nar nahi, nari hu mai....
Aakash ke indradhnush ka,
Hai samaya mujhme saat rang,
Har ek kali me hai bhara,
Pyar ka ek naya tarang.
Jeene ki sachi adhikari hun mai,
Nar nahi, naari hun mai…………..

Maa hun mai, janti hu jeevan,
Har bache k rooh ka hu darpan,
Sichati hu khoon se apne,
Har shisu ka man aur tan.
Karuna hu, mamtadhari hu mai,
Nar nahi, naari hu mai…………….

Mana k choti si hun gudiya,
Par khushi ki hun mai pudiya,
Aandhere ki mai hun wo jyoti,
Jaise seep mai banti hai moti.
Pyar ka ehsaas, tumhari hun mai,
Nar nahi, naari hun mai…………….
Natkhat hun, tumko hun satati…
Roti to tumko bhi rulati,
Ched kar tumko khud hat jaati,
Phir amma se daat padati.
Bhaiya! Par teri rajdulari hun mai,
Nar nahi, naari hun mai……………….

Chod kar apno ka aangan,
Tyag kar apna ye jeevan,
Sab karti hun tujhko samarpan
Nibhati hun tera har bandhan.
Khilona nahi, ardhangini tumhari hun mai,
Nar nahi, naari hun mai………….

Waqt de kar socho ye ek din,
Kya jee sakoge jeevan mere bin?
Vidya hun mai, laxmi hun mai
Mata hun mai, janm-bhumi hun mai,
Aakash hun, patal hun mai,
Mahamaya, mahakaal hun mai,
Durga hun, sinh-sawari hun mai…….
Nar nahi, naari hun mai……………

Monday 12 September 2011

EK NARI – CHAR ROOP

Beti, Behen, Biwi, Maa
Hai chaar roop ye nari ka
Ek insaan ki duniya ka
Hai roop ye chaar dishaon sa

Bitiya na hoti purab si
To hasi ki chehakti subah kahan hoti?
Behna na ho jo paschim si
To sham ki natkhat laali kahan hoti?

Biwi na hoti uttar si
To pyar ki ganaga kaha behati?
Maa na hoti Dakhin si
To tum duniya me kahan hote?

Beti, Behen, Biwi, Maa
Hai chaar roop ye nari ka
Ek insaan ke ghar aangan  ka
Hai roop ye chaar Diwaron sa

Sunday 4 September 2011

“JEENE KA HAQ RAKHE HAR NAARI”

Mat – pita ki duniya sari,
Bhaiya ki hai raj dulaari.
Waqt pe padti sab pe bhari,
Aaj ek soch me hai bechari ,
Kya-“JEENE ka haq rakhe naari?”

Sikchit, susil, sunder sab me,
Roopshil me hai gud-dhari.
Pita ke paas kami hai dhan ki,
Isliye baithi hai kuwari.
“Jeene ka haq kyon rakhe naari?”

Duniya pe chai jiski khumari,
Dahej-pratha ki ab bhi Mari.
Falai hai jisne hahakari,
Samaaj ke is danav se hai haari.
“Jeene ka haq kyon na rakhe naari?”

Duniya aage bahdti jaaye,
Phir rahe kyon peeche naari.
Ji sake na jeevan akele,
Nahi aisi uski koi laachari.
HAN, “jeene ka haq rakhe naari”

Waqt hai ab badalne ka,
Sochne ka nahi kuch karne ka.
Nahi rehna ban k ab dukhiyaari,
Isi me hai hamari samajhdari.
HAN, “jeene ka haq rakhe har naari”

Aao behne, kadam badhye,
Duniya ko jeena sikhlaye.
Apna swarg ek khud banaye,,
Isi me hai shaan hamari.

“JEENE KA HAQ RAKHE HAR NAARI”