Tute khwabon ke sise mere
Ban kar sitara yun timtimata hai
Dard ki uthati lehron ko
Naya ghaw de jata hai
Aankhon se behte ashk mere
Ban kar kohra yun cha jata hai
Aankhe band kar leti hu mai
Jab sab dhundhala sa najar aata hai
Aankhe band karte hi
Meri duniya mujhe mil jata hai
Rangon bhari duniya meri
Aashaon ki kirno se phir khil jata hai
Umeed ban ke oos ki boonde
Mujhme housla barsata hai
Sare sapne ji uthate hai mere
Gum door kahi chup jata hai
Phir jab aankhe khulti hai
Dil geet naya ek gata hai
Nirash hokar harne wala
Kabhi na manjil pata hai
Khwab shise ke honge hum nahi
Jo tut kar yun bikhar jaye
Zindagi jine ki chah abhi baki hai
Kyu na phir se hum sambhal jaye