Wednesday 14 September 2011

NAR NAHI, NAARI HUN MAI

Phoolon bhari kyari hun mai.
Nar nahi, nari hu mai....
Aakash ke indradhnush ka,
Hai samaya mujhme saat rang,
Har ek kali me hai bhara,
Pyar ka ek naya tarang.
Jeene ki sachi adhikari hun mai,
Nar nahi, naari hun mai…………..

Maa hun mai, janti hu jeevan,
Har bache k rooh ka hu darpan,
Sichati hu khoon se apne,
Har shisu ka man aur tan.
Karuna hu, mamtadhari hu mai,
Nar nahi, naari hu mai…………….

Mana k choti si hun gudiya,
Par khushi ki hun mai pudiya,
Aandhere ki mai hun wo jyoti,
Jaise seep mai banti hai moti.
Pyar ka ehsaas, tumhari hun mai,
Nar nahi, naari hun mai…………….
Natkhat hun, tumko hun satati…
Roti to tumko bhi rulati,
Ched kar tumko khud hat jaati,
Phir amma se daat padati.
Bhaiya! Par teri rajdulari hun mai,
Nar nahi, naari hun mai……………….

Chod kar apno ka aangan,
Tyag kar apna ye jeevan,
Sab karti hun tujhko samarpan
Nibhati hun tera har bandhan.
Khilona nahi, ardhangini tumhari hun mai,
Nar nahi, naari hun mai………….

Waqt de kar socho ye ek din,
Kya jee sakoge jeevan mere bin?
Vidya hun mai, laxmi hun mai
Mata hun mai, janm-bhumi hun mai,
Aakash hun, patal hun mai,
Mahamaya, mahakaal hun mai,
Durga hun, sinh-sawari hun mai…….
Nar nahi, naari hun mai……………

No comments:

Post a Comment